সোমবার, ২৬ জুলাই, ২০২১

Yaqin se yaadon ke bare mein kuchh kaha nahin ja sakta- IFTIKHAR ARIF

Tum ne jo phuul mujhe ruḳhsat hote vaqt diyā thā

vo nazm maiñ ne tumhārī yādoñ ke saath, lifāfe meñ band kar ke rakh dī thī

aaj dinoñ baad | bahut akele maiñ use khol kar dekhā hai,

phuul kī nau pañkhuḌiyāñ haiñ,

nazm ke nau misre,

yādeñ bhī kaisī ajiib hotī haiñ,

pahlī pañkhuḌī yaad dilātī hai us lamhe kī| jab maiñ ne,

pahlī baar tumheñ bharī mahfil meñ| apnī taraf musalsal takte hue dekh liyā thā,

dūsrī pañkhuḌī jab ham pahlī baar, ek dūsre ko kuchh kahe baġhair,

bas yūñhī, jaan buujh kar nazar bachāte hue| ek rāhdārī se guzar ga.e the,

phir tīsrī baar|
 jab ham āchānak ek moḌ par kahīñ mile

aur ham ne bahut saarī bāteñ kiiñ | aur bahut saare baras,

ek saath pal meñ guzār diye

aur chauthī baar ab maiñ bhūlne lagā huuñ

bahut dinoñ se Thahrī huī udāsī keī vajah se shāyad

kuchh log kahte haiñ udāsī tanhā.ī keī kokh se janam letī hai

mumkin hai Thiik kahte hoñ

kuchh log kahte haiñ bahut tanhā rahnā bhī udāsī kā sabab ban jaatā hai

mumkin hai ye bhī Thiik ho

mumkin hai tum aao to bhūlī huī saarī bāteñ phir se yaad aa jaa.eñ

mumkin hai tum aao to vo bāteñ bhī maiñ bhuul chukā huuñ jo abhī mujhe yaad haiñ

yādoñ ke baare meñ aur udāsī ke baare meñ aur tanhā.ī ke baare meñ

koī baat yaqīn se nahīñ kahī jā saktī

https://www.rekhta.org/nazms/yaqiin-se-yaadon-ke-baare-men-kuchh-kahaa-nahiin-jaa-saktaa-tum-ne-jo-phuul-mujhe-rukhsat-hote-vaqt-diyaa-thaa-iftikhar-arif-nazms


কোন মন্তব্য নেই:

একটি মন্তব্য পোস্ট করুন

সাহর- শাহরিয়ার খান শিহাব

#পাঠপ্রতিক্রিয়া: "বড় হুজুর বলেন, 'শয়তান কাউকে নিজের দলে আসতে বাধ্য করে না। করতে পারেও না, সেই ক্ষমতাও তার নাই। সে শুধু আহবান করে, ফ...